Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.
Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.
Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain.
yeh kaisi chahat hai yaaro,
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se mohabbat karte hain.
Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka.
Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai Dard Sehne Ki,
Apne Hi Zakhmo Me Dub Kar Rehne Ki,
Khamosh Tanhai Me Ab Dil Lagta Hai,
Na Pukare Koi, Nigah Uthanese Bhi Dil Darta Hai…
No comments:
Post a Comment