Bhardwaj

Tuesday, November 16, 2010

Waqt Badal Gya

waqt badal gya,halat badal gye,
humne na socha tha kabhi ye,
per hum bhi badal gye,
humne sochta tha jra sa tute he hum,
per hum bikherte chale gye,
simtne jane ki unme aarzu le,
hum apno se ruthte chale gye,
sapno ka sath chut gya ya tut gya kuch pta nhi,
rehte the hum mehfil me,
ab Tanhai ke karva baste chale gye………..

Jeene ke liye socha hi na tha, Dard sambhalane honge
Muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
Muskuraoon kabhi to lagata hai
Jaise honton pe karz rakhaa hai……………

Sunday, November 14, 2010

Bevafai

 

Thukra ke usne mujhko,
kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.

Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.

Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain.
yeh kaisi chahat hai yaaro,
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se mohabbat karte hain.

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka.

Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai Dard Sehne Ki,
Apne Hi Zakhmo Me Dub Kar Rehne Ki,
Khamosh Tanhai Me Ab Dil Lagta Hai,
Na Pukare Koi, Nigah Uthanese Bhi Dil Darta Hai…