Bhardwaj

Friday, December 24, 2010

Ishak Vo Chand Hai Jo Dikhata Hai Sabhi Ko

Wo karte hai baat ishak ki
pr ishak ke dard ka unhe ehsas nahi
ishak vo chand hai jo dikhata hai sabhi ko
pr use pana sabki baski baat nahi

Kuch log dil pe is tarha sasr kar jate hai
tute hue shisho me bhi sabut najar aate hai
Raho me milte hai kuch der ke liye
aur zindgi bhar ke liye dil me uttar jate hai.

Dil ki awaj se nagme badal jate hai
Sath na de to apne badal jate hai
Palke Zara sambhal ke jhapkana
Kyonki Palke jhapkane se aksar sapne badal jate hai.

Thursday, December 23, 2010

koi Bhi Aaina Acha Nahin Lagta

Khuda Ne Kha Bande Ishak Na Kar
Ishak Me Tu Diwana Ho Jayega
Maine Kanha E Khuda Jamin Pe Aaker Mere Yaar Se Mil
Ishak Tujhe Ho Jayega

Jab Se Dekha h Teri Aankhon Mein Jhank Kar
koi Bhi Aaina Acha Nahin Lagta
Teri Mohabbat Mein Aise Hue h Deewane
Tumhe Koi Aur Dekhe Toh Acha Nahin Lagta..

Aashiq h Tere Sadiyo Se Hum….
Itni Mohabat kisne Ki h Sanam….
Hadd Se Zayada Chahha h Tumko Humne….
Mange Tu Jaan Bhi Toh Piche Hatenge Na Kabhi Mere Kadam….!!!!

Sunday, December 19, 2010

Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi

 Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye,
 Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye,
 Khud hi kar li bewafai humne,
 taaki unpar koi ilzaam na aaye

 Nakaam si koshish kiya karte hain,
 Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
 Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
 Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain

 Milna itifaak tha bicharna naseeb tha
 Wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha
 Hum usko dekhne k liye taraste he rahe
 Jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha

 Kaash banane wale ne humein aansoo banaya hota,
 Aur mehboob ki aankhon me basaya hota,
 Jab girte unki aankh se unki god me,
 Thoda marne ka maja bhi aaya hota

 Zindagi ki raho me jab aage aage jaaoge,
 Peeche ek saaya tum hurdum paaoge,
 Mudkar dekhoge to tanhaayi hogi,
 Agar mehsoos karoge to humko paaoge

 Zuban hi sirf ek zaria nahi
 Jo aap lafzon ko samajh paayenge
 kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye
 Hazaro alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge


 Dard se dosti ho gayi hai doston,
 Zindagi bedard ho gayi hai doston,
 Kya hua jo jal gaya aashiyana humara,
 Magar door tak roshni ho gayi hai doston

Tuesday, December 7, 2010

Tanha Raatain

YAAD RAHKOGE TO DIL KE PAAS HAI HUM
BHOOL JAAOGE TO FASLAY HAI BAHUT

Hum Itney Khoobsurat To Nahin Hain.. Saaqi.. Magar Haan...!
Jisey Aankh-Bhar Ke Dekh Lein Usey Uljhan Mein Daal Detey Hain....!

MUMKIN NAHI SHAAYAD KISSI KO SAMAJH PANA
SAMJHE BINA KISSI SE KYAA DIL LAGAANA
AASAAN HAI KISSI KO PYAR KARNA
LEKIN BAHUT MUSHIKIL HAI KISSI KA PYAR PANA

Dard-e-wafa fasana nahi ki tujhse kahe
Aur Dil bhi apna mana nahi ki tujhse kahe

Meri Tanhai Dasti h Mujhe Kabhi Tanha Raat Mein
Shor Se Bhi Jee Ghabrata h Rang Bhari Mehfil Mein
Koi Apna Hai Dil Kehta Hai Bula Lo Paas Unhe Paas Apne
kyun tadpati Hai Raat Bhar Kyun Phunkte Hai Armaan Apne
Koi Kya Jaane Kitni Dur Ho Kar Bhi Kitne Hai Paas Mere
Haaye Meri Tanhai Mein Tanha Aur Kar Dete Hai Armaan Mere
Jao Hasrat Bhare Sapno Kahin Dur Mujhse Dur Chale Jao
Yun Nahi Jeeya Jata Kahin Inhe Shamshan Mein Hi Chor Aao
Bahot Der Ho Chuki Hai Koi Na Samjhega Yeh Meri Tanha Zubaan
Beet Gayi Hai Sapno Bhari Raat Tanha Bayaan Kya karegi Tanha Zubaan

Friday, December 3, 2010

Woh Kya Jane Ki Kya

 

TUMAKO BHULANA ITANA AASAN NAHI,
TUMKO HI YAAD KIYA TUMKO BHULANE KE BAD

Woh Kya Jane Ki Kya hai Tanhai,
Ek Tute Patte se Poochho ki Kya haa Judai,
Woh Zalim Hume Bewafa ka naam to de gaya,
Par Is Waqt se Poochho kis Waqt Uski Yaad an Aayi

Na Koi Manzil, Na Ishara Hai Koi,
Na koi Sahil, Na kinara hia koi
Sunayen Bhi to kise is dil ka hal
Na Hum Kisi Ke, Na Hamara hai Koi,

Sine main har pal teri yadon ka dard utarata hai,
Dil ke har Zakhm main tera hi aksh ubharata hai,
Tujhako na hai khabar e meri Zindagi,
Bas Teri Yadon main hi Mera waqt gujarata hai........

Dhal gayi hai jo, Woh Sham hai Zindagi,
Toofan main fansi, ek Naw hai Zindagi.
Kabhi na khatm ho saka, woh Imtihan hai Zindagi,
Toot gaya hai jo, woh Khwab hai Zindagi.
Kabhi na poora ho saka, who Arman hai Zindagi,
Sirf unse hai jo, wo Mushkan hai Zindagi.......

ye hasarat meri bata teri kya hasarat hai,
Is Dil main har pal Unki hi kyon Aahat hai..
Jinki Wafa nahi Kismat mai meri,
Unke Liye teri ye kaisi Chahat hai..