Bhardwaj

Tuesday, January 25, 2011

Ye Nafrat Buri Hai

Ye Nafrat Buri Hai, Na Paalo Isay
Dilo Main Khalish Hai ,Nikalo Isay
Na Tera ,Na Mera ,Na Iska , Na Uska
Ye Sab Ka Watan Hai,Bacha Lo Isay

Mera Desh-hai isse pyar mujhko,
allah ki hunkar ramayan ki katha
vrindavan ka rass,Gopiyon ki vyatha,
Tyoharon ki dhoom,Diwali ke diye,
Holi k rangon bina koi kya jiye,
ye sab meri duniya ki aawaz hain,
is par hi to hota mujhko naaz hai.
I m proud 2 be an INDIAN.
  

31 States,
1618 Languages,
6400 Castes,
6 Religion,
6 Ethnic Groups,
29 Major festivals
& 1 Country!
Be Proud to be an Indian!..
Happy REPUBLIC DAY………



  

Friday, January 21, 2011

Hum Bewafa Hargiz Na The

Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake
Humko mili uski sazaa
Hum jo khata kar naa sake
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake


Kitni akeli thi woh rahen hum jinpe
Ab tak akele chalte rahen
Tujhse bichhad ke bhi o bekhabar
Tere hi gham mein jalte rahen
Tune kiya jo shiwa
Hum woh gila kar naa sake
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake


Tumne jo dekha suna sach tha magar
Itna tha sach yeh kisko pataa
Jaane tumhe maine koi dhokha diya
Jaane tumhe koi dhokha hua
Is pyaar mein sach jhooth kaa
Tum faisla kar naa sake
Hum bewafa hargiz na the
Par hum wafa kar naa sake

Thursday, January 6, 2011

Kisike Dil Ka Dard Kisne Dekha Hai

Kisike Dil Ka Dard Kisne Dekha Hai
Dekha Hai Usne Bus Chehra Dekha Hai
Dard To Tanhaiyo Me Hota Hai
Or Tanhaiyo Me Humne Logo Ko Aksar Huste Hua Dekha Hai

Dard Se Hath Na Milate To Or Kya Karte,
Gam Ke Aansoo Na Bahate To Or Kya Karte.
Usne Maangi Thi Humse Roshni Ki Dua,
Hum Khud Ko Na Jalate To Or Kya Karte.

Taqleef Vo Jo Tadpha De
Teacher Vo Jo Saja De
Mohhabat Vo Jo Wafa De
Dushman Vo Jo Marva De
Dost Vo Jo Hamesh Sath De

Monday, January 3, 2011

Jindgi

Jindagi hai 1 mukabla us se mukabla kijiye
Jindagi hai 1 uphar us ko swikar kijiye

Jindagi hai 1 Dard us ko Sahan Kijiye
Jindagi hai 1 naukri us ko kar ke dekhiye

Jindagi hai 1 khel  us ko khel ke dakhiye
Jindagi hai 1 sangeet us ko ga ke sunaiye

Jindagi hai 1 mauka us Ka faida uthaiye
Jindagi hai 1 safar us ko pe yatra kijiye

Jindagi hai 1 wada us ko jara nibhaeye
Jindagi hai 1 pyar us ko khusi se gujariye

Jindagi hai 1 sundarta us Ki saharana kijiye
Jindagi hai 1 paheli us ko bujhaiye

Jindagi hai 1 sangharsh us se ladiye
Jindagi hai 1 laksh us ko hasil kariye